Shayari, Urdu Sad Shayari, Urdu Shayari, Urdu Poetry
We have Urdu Latest Shayari for you.we update Hindi Latest Shayari section daily and add new Latest Shayari SMS everyday. We have a huge collection of Latest Latest Shayari for you to read and enjoy. Latest Shayari is in urdu language. All Latest Shayari Poetry here is submitted by the users of Latest Shayari .
14 Sep
hum chor dain gay tum se yun baat cheet karna ,
tum poochtay phiro gay apna qasoor hum se
hum cheen lain gay tum se yeh ada e beniazi ,
tum maangtay phiro gay , apna gharoor hum se…
13 Sep
Aao kisi shab mujhay Toot k bikhrta dekho,
Meri ragon me zehar judai ka utarta dekho,
Kis kis ada se tujhe manga hai RAB se,
Aao kabhi mujhay sajdon me sisasktay dekho,
Teri talaash mein hum ne khud ko bhi kho dia hai,
Mat aao saamne mgar kahin chup k mujhay tarapta dekho,
Tere hijr k gehre sagar mein utar gaye hum,
Aasra na do pyar ka kinare pe aao mujhe doobta dekho,
Shayad meri rooh ki jalan mehsoos ho tumhein,
Bhri barsaat mein mere ghar ko jalta dekho…
13 Sep
Kabhi jo waqt par jaye,
Tumhein mujh se bicharna ho,
Tumhein waday se phirna ho,
To beshak dair mat karna,
Mujay naraaz kar dena,
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal dena,
Magar jab lot k ana,
Tumhein mitti k teelay par,
Main shayad na dikhai dun,
Magar heran mat hona,
Wahin do char qadmon par,
Mazaar-e-bekaraan hoga,
Wahan ik phool rakh dena,
Aur ik shama jala dena,
Aur apna rukh badal lena,
Aur apni simt chal dena…
13 Sep
Gira Day Jitna
Pani Hai Teray
Pass A Badal.
Yeh Piyass Kisi K
Milnay Say Bhujay Gi
Teray Barasnay Say
Nahi!!
12 Sep
kuch tumhari nigaah kafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taaron ka tootna bhi majaz
baa’as-e-izteraab hona tha…!!!
31 Jul
kaash mera har shaiyer aisa hua kare
jinein sun kar duniya waah waah kare
meri nazar se guzre koi aisa haseen
jise dekh ke mera dil thaa thaa kare
jo aik bivi ke naaz na uthaa sake
phir wo insaan kyon doora byaah kare
jo tabiyat ki tarah bigarti reh sdaa
aisi mashooka se kaise koi niba kare
apni jhooti aan baan ki khatir asghar
insaan kyon apni daulat tbaah kare
Sender:- M.ASGHAR MIRPURI
30 Jul
Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata
“manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata
“muddat ka safar b tha or brson ki shanasai
“rukta to bkhar jata chlta to me marjata.
30 Jul
teri khushbu ka pataa karti hai,
mujh pay ehsaan hawa karti hai,
shab ki tanhai mei ab to aksar,
guftagu tujh say raha karti hai,
dil ko us raah pay chalna hee nahi,
jo mujhay tujh say juda karti hai,
zindagi meri thee lekin ab to,
teray kehnay mei raha karti hai,
us nay dekha he nahi warna yeh aankh,
dil ka ehwaal kaha karti hai,
shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,
koocha e jaan mei sadaa karti hai.
30 Jul
ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte
terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte
vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte
Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte
30 Jul
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN